Friday, April 17, 2009

Ek des hai aisa..

Ek des hai aisa jiski yaad bohot aati hai..
Ek des hai aisa jiski yaad bohot aati hai..
Zyada nahi hai wahaan..
Chand tuti chudiyaan aur thake hue chehre
Rang hai magar tuti chudiyon mein bhi
Muskaan halki, haare chehron par bhi
Sangharsh hai roz jivan se ek
Kahani hai ek, har khel ke peeche
Chal rahi hai jaisi saari duniya ki saasein ek disha mein
Aisi jagah hai kahin is saari duniya mein bhi
Ek des hai aisa is duniya mein bhi..

Ek des hai aisa jiski yaad bohot aati hai
Wahan harjeev ek vyakti hai
Aur har vyakti ki pehchaan
Use Kehna nahi padta cheekhkar yeh
Uska har bhaav hai uski pehchaan
Dekhte hain auron ko bhi chalte chalte
Manushya ke samudra mein bhi
Chehre yaad rehte hain unhe
Yeh log hain aise, inke dilon mein hai aanch
Gar chupna ho duniya se bhi
Toh aisi jagah hai inke paas
Apne gharon mein, apne dilon mein
Panaah de jo tumhe
Aisa des hai kahin khaas
Ek des hai aisa
Jiski yaad bohot.. bohot aati hai..

Mera ang hai woh
Mera rang hai woh
Uska hissa hoon main
Uska vartamaan bhi main
Uski dhadkan bhi main
Uska vikaas bhi main
Uska pran bhi main
Uska balidaan bhi main
Hai aisa ek des kahin is saari duniya mein
Ek des hai aisa jiski yaad bohot aati

Mere apno ko samaye baitha hai jo apne aap mein
Ek des hai aisa kahin, jiska chand bhi main aur daag bhi
Ek hai jagah kaahin aisi, jahan malmal aur mitti ki chahat hai ek jaisi
Mera antarman rehta abhi bhi us des mein hai
Ek hai des aisa jiski yaad bohot aati hai..
Powered By Blogger