Thursday, February 28, 2008

Kahin koi aanch tum par aane na paaye iski dua hum subah shaam karte hain..
Kahin teri parchai dil se na utar jaaye iske agaah hum din raat rehte hain..
Par hai pyaar ka yeh rehnuma kaisa tera..
Hum jise muhabbat kehte hain usse tum wafadari ke naam se waqif ho..
Sharif-un-nafson ki galiyon mein ye diwana kahan se aa pohoncha?
Chahat mein mar mitney wala ye napak kahan se aa guzra?
Tamiri hoti jo hum use ehsaas pagalpan ka dete..
Kambakht zamana bhi zaalim wahin raah mein use akela chod gaya..
Koi shiqast apne maathe ki bana lena humko..
Ke dukh ke har pal mein saath rehna hai gawara humko..
Sukh bhale kahin aur baant lena..
Ghamon ka hissa banaye rakhna humko...
Gustaakh nigahon ki saza aksar ashqon ko milti hai..
Toh ashqon ki saza kise mile?
Teri chaah mein jo mar mitey woh pal hum bhala kaise ginein?
Jo khoya hai humne tumne uska mol koi kya jaane!
Bas pal do pal ka saath kehte hain..
Takhir hui guzar jaane mein...
Chahat ke nazmo ki dastaan likh chale hum
Apne hi lahu ki syahi se.
Reh gaye adhure lafz magar,
Tanhai ki teri duhai se.
Saaya hi saath chod gaya magar,
Ruk gayi na zindagani meri,
Chod gaye shayri ke nishan dhundle,
Jivan ke kore kagaz pe mere...

Monday, February 18, 2008

For my valentine...

Like a rising sun painting my sky, colouring my hues and dusting off the night... You were born inside of me like the warmth within a fire.. Inseparable, destructive, and yet without doubt desired..
Powered By Blogger