Wednesday, January 29, 2014

Ilm nahi raha is duniya ko humaare dard ka
Waqt zulm pe zulm karta gaya
Aur mohabbat ke naam pe hum us zulm ko wafaa samajh ke sehte gaye
Yeh maan liye ke khaakh mein ek din sabhi ko milna hai
Toh aaj pyaar ki khatir jal jaate hain
Sukhe pattey jaise gir kar kho jaate hain
Waise be-ilm woh wajuhaat humein peeche chhod gaye
Hum raakh ban ke mitti mein jad gaye
Wafaadari ke naam ka sajda karte karte

Sunday, January 26, 2014

Jhoothi sarhadein

Mere dil ke ek kone mein
Ab bhi bandha ek vishwas
Ke insaan toh insaan hota hai
Siyasat ki hawas use jaahil bana deti hai

Kis mulk ka tu aur kis mulk ki main
Sach hoti yeh kahani agar yeh na sochna hota
Kain hisson mein kaat diya mere zehen ko is sarhad ne
Thoda riyasati murakhon ne, thoda meri apni tasub ne

Khadi ho jaati ek Amrita ya ek Ismat
Kehte agar ke na manzoor hai yeh batwaara
Na khoon behta pushtaini na rakh hoti mitti

Lekin shayar sirf lafzon ko modh sakta hai
Aur aashiq jaisa bebas duniya mein nahi
Yugon ka rukh toh shaitanon ke haath hai
Aur zaminon ke dalaali sirf nakara khoon ke keemat par hoti hai

Powered By Blogger