Ek des hai aisa jiski yaad bohot aati hai..
Ek des hai aisa jiski yaad bohot aati hai..
Zyada nahi hai wahaan..
Chand tuti chudiyaan aur thake hue chehre
Rang hai magar tuti chudiyon mein bhi
Muskaan halki, haare chehron par bhi
Sangharsh hai roz jivan se ek
Kahani hai ek, har khel ke peeche
Chal rahi hai jaisi saari duniya ki saasein ek disha mein
Aisi jagah hai kahin is saari duniya mein bhi
Ek des hai aisa is duniya mein bhi..
Ek des hai aisa jiski yaad bohot aati hai
Wahan harjeev ek vyakti hai
Aur har vyakti ki pehchaan
Use Kehna nahi padta cheekhkar yeh
Uska har bhaav hai uski pehchaan
Dekhte hain auron ko bhi chalte chalte
Manushya ke samudra mein bhi
Chehre yaad rehte hain unhe
Yeh log hain aise, inke dilon mein hai aanch
Gar chupna ho duniya se bhi
Toh aisi jagah hai inke paas
Apne gharon mein, apne dilon mein
Panaah de jo tumhe
Aisa des hai kahin khaas
Ek des hai aisa
Jiski yaad bohot.. bohot aati hai..
Mera ang hai woh
Mera rang hai woh
Uska hissa hoon main
Uska vartamaan bhi main
Uski dhadkan bhi main
Uska vikaas bhi main
Uska pran bhi main
Uska balidaan bhi main
Hai aisa ek des kahin is saari duniya mein
Ek des hai aisa jiski yaad bohot aati
Mere apno ko samaye baitha hai jo apne aap mein
Ek des hai aisa kahin, jiska chand bhi main aur daag bhi
Ek hai jagah kaahin aisi, jahan malmal aur mitti ki chahat hai ek jaisi
Mera antarman rehta abhi bhi us des mein hai
Ek hai des aisa jiski yaad bohot aati hai..
Words are the mirror of every soul. Even if we choose not to bare ourselves to everyone, our words are not so gracious. They share every emotion as intended, whether or not we like it. Here are some of my words... A small part of my soul..
Friday, April 17, 2009
Sunday, February 15, 2009
Ehsaas
Ibaadat nawazti hai bande ko mohabbat ke noor se
Jhaank khud mein tera pyar nahi door hai tujhse
Jee kar bhi marte hain ek duje ke liye
Bas wahin chahat pak maan
Jo jalti hai saaye mein bhi hoor ki tarah
Ishq, jurm, haqeeqat, zindagi
Chalte hain ek duje ke daayre mein
Qatl na kar apne khwabon ka aaj tu
Jee lene de ek din aur us mein kisiko
Tera naam, tera wajood, teri pehchaan jo kehlata hai
Aankhon se teri duniya woh mehsus karta hai
Jo dekhe tu khubsurat wadiyan jalti dhoop mein bhi
Rahat use milegi us pal ki kahin door tak bhi
Khuda ke bande na maan har tu zindagi ki kisi bandish se
Sar-e-aam utha le har sitam kandhon par
Ke shayad kahin woh khush reh paaye aur ek pal kahin
Seemayein langh tu, vishal kadam chal
Jeevan ki agneepath pe, nidar ho kar chal
Jhaank khud mein tera pyar nahi door hai tujhse
Jee kar bhi marte hain ek duje ke liye
Bas wahin chahat pak maan
Jo jalti hai saaye mein bhi hoor ki tarah
Ishq, jurm, haqeeqat, zindagi
Chalte hain ek duje ke daayre mein
Qatl na kar apne khwabon ka aaj tu
Jee lene de ek din aur us mein kisiko
Tera naam, tera wajood, teri pehchaan jo kehlata hai
Aankhon se teri duniya woh mehsus karta hai
Jo dekhe tu khubsurat wadiyan jalti dhoop mein bhi
Rahat use milegi us pal ki kahin door tak bhi
Khuda ke bande na maan har tu zindagi ki kisi bandish se
Sar-e-aam utha le har sitam kandhon par
Ke shayad kahin woh khush reh paaye aur ek pal kahin
Seemayein langh tu, vishal kadam chal
Jeevan ki agneepath pe, nidar ho kar chal
Thursday, February 12, 2009
Ae kaash ke dil se nikalti dard ki awaz
Aur keh paati tumse ke aanch hai kitni uski aag mein
Jal jal ke dono aah tak na de paaye
Kaisi chah ne karvat li humari
Teri parchayi mein dhoondti hoon apne aap ko
Tujhse juda phir bhi chalti hoon main
Hai ya nahi zindagi abhi bhi meri
Keh na paaun yakeen se main mann ko
Yeh mann tujhe kyun chahe
Iska koi jawaab nahi mere paas
Tera saath chhodkar bhi tera rahe
Iski koi wajah nahi hai khaas
Par taqdeer teri rahegi mere dil ki
Aur bandish yeh judi rahegi gham ki
Dur se saaye nazar aate hain khaak ke
Kismat yeh meri hai tere zindagi ki nahi
Tujhse hone na dungi gile koi
Na aane dungi kisi aanch ki garmi tujhpar
Allah ke rehm-o-karam rehte hain bande par
Hifaazat teri rahe mera dharam
Gar na jaana tune na samjha tune
Tab bhi koi shikva na hoga
Har nazm mein yaad tujhko karenge
Har geet ki ghazal tujhse banayenge
Ittefaaq na tha yeh mera tujhse milna
Milkar yeh jaana ke khuda bhi tu, parvar digaar bhi tu hai mera
Iqbal-e-jurm ho gayi mohabbat jaise
Takhir hoti jo nikal jaate teri raah se
Insaan hai hum
Galatiyaan karke seekhte hain
Gir gir kar sambhale hain zindagi mein
Tere jivan ko kya savarenge
Lau bujhne na denge
Dil mein apne
Magar jalne na denge
Tujhe iski aag mein
Pyaar yeh kaisa hai humara
Pyar yeh kaisa hai humara
Teri khushi meri khushi
Par mere gham kyun tere gham?
Aur keh paati tumse ke aanch hai kitni uski aag mein
Jal jal ke dono aah tak na de paaye
Kaisi chah ne karvat li humari
Teri parchayi mein dhoondti hoon apne aap ko
Tujhse juda phir bhi chalti hoon main
Hai ya nahi zindagi abhi bhi meri
Keh na paaun yakeen se main mann ko
Yeh mann tujhe kyun chahe
Iska koi jawaab nahi mere paas
Tera saath chhodkar bhi tera rahe
Iski koi wajah nahi hai khaas
Par taqdeer teri rahegi mere dil ki
Aur bandish yeh judi rahegi gham ki
Dur se saaye nazar aate hain khaak ke
Kismat yeh meri hai tere zindagi ki nahi
Tujhse hone na dungi gile koi
Na aane dungi kisi aanch ki garmi tujhpar
Allah ke rehm-o-karam rehte hain bande par
Hifaazat teri rahe mera dharam
Gar na jaana tune na samjha tune
Tab bhi koi shikva na hoga
Har nazm mein yaad tujhko karenge
Har geet ki ghazal tujhse banayenge
Ittefaaq na tha yeh mera tujhse milna
Milkar yeh jaana ke khuda bhi tu, parvar digaar bhi tu hai mera
Iqbal-e-jurm ho gayi mohabbat jaise
Takhir hoti jo nikal jaate teri raah se
Insaan hai hum
Galatiyaan karke seekhte hain
Gir gir kar sambhale hain zindagi mein
Tere jivan ko kya savarenge
Lau bujhne na denge
Dil mein apne
Magar jalne na denge
Tujhe iski aag mein
Pyaar yeh kaisa hai humara
Pyar yeh kaisa hai humara
Teri khushi meri khushi
Par mere gham kyun tere gham?
Subscribe to:
Posts (Atom)