Sunday, February 15, 2009

Ehsaas

Ibaadat nawazti hai bande ko mohabbat ke noor se
Jhaank khud mein tera pyar nahi door hai tujhse
Jee kar bhi marte hain ek duje ke liye
Bas wahin chahat pak maan
Jo jalti hai saaye mein bhi hoor ki tarah
Ishq, jurm, haqeeqat, zindagi
Chalte hain ek duje ke daayre mein
Qatl na kar apne khwabon ka aaj tu
Jee lene de ek din aur us mein kisiko
Tera naam, tera wajood, teri pehchaan jo kehlata hai
Aankhon se teri duniya woh mehsus karta hai
Jo dekhe tu khubsurat wadiyan jalti dhoop mein bhi
Rahat use milegi us pal ki kahin door tak bhi
Khuda ke bande na maan har tu zindagi ki kisi bandish se
Sar-e-aam utha le har sitam kandhon par
Ke shayad kahin woh khush reh paaye aur ek pal kahin
Seemayein langh tu, vishal kadam chal
Jeevan ki agneepath pe, nidar ho kar chal

No comments:

Powered By Blogger