Saturday, June 22, 2013

Ishq-aashiqui

Tu apne guroor ko gawaah maan chala,
Main apne ishq ko.
Tujhe aashiqui ki kasam di thi,
Khud ko apne zameer ki.
Tujh mein aur mujh mein antar tha itna.
Is muqaam se mitti mein mil jaane tak;
Ek khwab ban ke is aaj par shaq hone tak;
Ek saaya jab tak yeh pal ban nahi jaata;
Iske guzar jaane ki khabar jab tak puraani nahi ho jaati;
Har lafz jo tune kaha woh zehen mein bas nahi jaata.
Tab tak hai kasam tujhe is aashiqui ki,
Tab tak hai kasam mujhe mere zehen ki,
Yeh khuda gawaah hoga us pal ka,
Mera ishq kya sabut dega zinda hone ka?
Yeh khatm hi na ho payega us pal tak.
Tujh mein aur mujh mein antar hai itna.

No comments:

Powered By Blogger