Sunday, January 26, 2014

Jhoothi sarhadein

Mere dil ke ek kone mein
Ab bhi bandha ek vishwas
Ke insaan toh insaan hota hai
Siyasat ki hawas use jaahil bana deti hai

Kis mulk ka tu aur kis mulk ki main
Sach hoti yeh kahani agar yeh na sochna hota
Kain hisson mein kaat diya mere zehen ko is sarhad ne
Thoda riyasati murakhon ne, thoda meri apni tasub ne

Khadi ho jaati ek Amrita ya ek Ismat
Kehte agar ke na manzoor hai yeh batwaara
Na khoon behta pushtaini na rakh hoti mitti

Lekin shayar sirf lafzon ko modh sakta hai
Aur aashiq jaisa bebas duniya mein nahi
Yugon ka rukh toh shaitanon ke haath hai
Aur zaminon ke dalaali sirf nakara khoon ke keemat par hoti hai

No comments:

Powered By Blogger