Gin sakte ho laakh afsaane humare tumhare kal ki kitabon mein
Paaoge kitni hi tasvire humari guzre pal ke sirhaane mein
Kabhi tum humse kabhi hum tumse yeh baatein kehte the
Pyaar dono karte the, par zahir kuch kum hi karte the
Diwano se guzarte the in diwaron ho narm haathon se chute chute
Nishaan kabhi apne chhod jayenge yeh socha na tha in galiyaron mein
Kabhi khidki se jhaankti thi waqt ki nigahein
Aur hans deti thi mere bholepan par
Khoyi khoyi rehti thi main tere mann ke bhanvar mein aur tu meri saanson ki gehraayi mein
Khel nahi tha sach tha yeh waqt bhi kabhi samajh na paaya
Tumhe aur mujhe bhi mushkil si hui toh waqt ko mujrim kaise thehraya jaaye
No comments:
Post a Comment