Friday, November 14, 2008

tere saath toh main hamesha hi thi
par zarurat tujhe shayad kisi aur ki thi
apna sab kuch bhi de diya tujhe maine
apne aap ko tere hawale kar diya maine
par yakeen ek pal tujhe mujhpar na tha
kaise dilati tujhe aur kya kehti tujhe main
samjha nahi apna ek pal bhi tune mujhe
keh diya raah mein bohot hain
dikha diya teri chaah mein bohot hain
aankhein kholi meri tune
jab woh pal guzar jaata hai na
toh saath sab le jaata hai
kuch aur thi main kuch pal pehle
koi aur hun main kuch hi palon mein
teri baaton pe yakeen karun kaise
jab meri sachhai ka yakeen tujhe ho na saka
dil aur jaan dono tere haathon mein dekar bhi
tu ek pal ke liye bhi mera ho na saka
shayad tum bas apne ho
aur baaki saare mehmaan hai tumhare
shayad main tumhari chahat kabhi ban na sakun
kam se kam yeh ehsaas hai
ke humraaz kuch pal ki thi tumhari
koi haq kisiko kaise deta hai
koi haq kisika kaise nahi
yeh lafz zahir nahi kiya karte
jab waqt aa jaata hai kisi rishte ka
toh us rishte ki umr woh khud hi keh deta hai
tumse mili har khushi sar aankhon par
aur har gham tumhe yaad karne ki wajah banayenge
galatiyan aaj ki hain humne
phir kabhi hum inhe na dohrayenge

1 comment:

Sundar said...

just curioes...r these creative writings or consciousness soaked expressions born in personal experiencing?

Powered By Blogger