Tumhari main
Kehkar karti thi har khat ka ant
Jaana kab tha isse pehle
Ke koi aur kabhi us naam mein bhi dhal jaaye
Jagah meri zindagi mein tere
Koi aur bhi kabhi le paaye
Tez jitna soche koi
Utna aur sab kuch dhundla lagta hai
Jab bhi kisi cheez ka matlab samajhne ki koshish karein
Thoda aur dur woh humse ho jaaye
Lakh kehne aur karne par bhi
Kuch koshishein kaafi nahi hoti
Ban jaate hain hum phir woh chote bachche
Jinki kabhi koi khwahish puri nahi hoti...
1 comment:
हजारों ख्वाहिशें ऐसी कि हर ख्वाहिश पे दम निकले
बहुत निकले मेरे अरमाँ, लेकिन फिर भी कम निकले
मुहब्बत में नहीं है फ़र्क जीने और मरने का
उसी को देख कर जीते हैं जिस काफिर पे दम निकले
बहुत निकले मेरे अरमाँ, लेकिन फिर भी कम निकले
हजारों ख्वाहिशें ऐसी कि हर ख्वाहिश पे दम निकले
मिर्जा गालिब
Post a Comment