Dard ki har aah se nikalta ek shabd hai
Chah ke har gham se ek kavita
Dil ke har ghaanv se ek nishani pyaar ki
Meri har likhavat mein chupa tera ek chehra
Tere pehluon ke rang se
Bharti hoon main kagaz pe kagaz
Tere har ehsaas ko lekar
Banati hoon ek nayi kahani
Soch ki gehrai se lekar
Khayal ke aasman tak
Le jaati hoon main in lafzon ko
Par hai yeh gham se jude hi kyun?
Kyun nahi bante kisi khushi ki nishani?
No comments:
Post a Comment